muntashir zarron ko yakjai ka josh aaya to kya
muntashir zarroñ ko yakjā.ī kā josh aaya to kyā
chaar din ke vāste miTTī ko hosh aaya to kyā
aarzī haiñ mausam-e-gul kī ye saarī mastiyāñ
laala gulshan meñ agar sāġhar-ba-dosh aaya to kyā
daur-e-āḳhir bazm-e-duniyā kā hai jām-e-ḳhūn-e-dil
taish is mahfil meñ ban kar bāda-nosh aaya to kyā
hadd-e-hairat hī meñ rakkhā zo'f ne idrāk ko
paikar-e-ḳhākī ko is 'ālam meñ hosh aaya to kyā
muntashir zarron ko yakjai ka josh aaya to kya
chaar din ke waste miTTi ko hosh aaya to kya
aarzi hain mausam-e-gul ki ye sari mastiyan
lala gulshan mein agar saghar-ba-dosh aaya to kya
daur-e-aKHir bazm-e-duniya ka hai jam-e-KHun-e-dil
taish is mahfil mein ban kar baada-nosh aaya to kya
hadd-e-hairat hi mein rakkha zo'f ne idrak ko
paikar-e-KHaki ko is 'alam mein hosh aaya to kya
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 87)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.