na baha paun jo aansu bhi bahana chahun
na bahā pā.ūñ jo aañsū bhī bahānā chāhūñ
apne hī dard kī tasvīr banānā chāhūñ
ajnabī ban ke mire ġham ne sadā dī hai mujhe
yuuñ to har shaḳhs kā ġham dil meñ chhupānā chāhūñ
kitnā be-rang hai mausam kā ye dhuñdlā chehra
apnī yādoñ ke charāġhoñ ko bujhānā chāhūñ
dhuup ban kar jo mirī chhāñv meñ rahtā thā kabhī
dil ke ā.īne se vo aks miTānā chāhūñ
dasht-e-dil meñ hī kahīñ dafn hai ummīd kī laash
apne ash.ār meñ ye bhed chhupānā chāhūñ
darmiyāñ sab ke jo phailī hai vo duurī huuñ 'bahār'
sab kī duurī ko gale apne lagānā chāhūñ
na baha paun jo aansu bhi bahana chahun
apne hi dard ki taswir banana chahun
ajnabi ban ke mere gham ne sada di hai mujhe
yun to har shaKHs ka gham dil mein chhupana chahun
kitna be-rang hai mausam ka ye dhundla chehra
apni yaadon ke charaghon ko bujhana chahun
dhup ban kar jo meri chhanw mein rahta tha kabhi
dil ke aaine se wo aks miTana chahun
dasht-e-dil mein hi kahin dafn hai ummid ki lash
apne ashaar mein ye bhed chhupana chahun
darmiyan sab ke jo phaili hai wo duri hun 'bahaar'
sab ki duri ko gale apne lagana chahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.