na din bujhe hain na bazm-e-shabana Khaali hai
na din bujhe haiñ na bazm-e-shabāna ḳhālī hai
nahīñ hai dil kā magar kuchh Thikāna ḳhālī hai
qafas meñ phir chale aa.e palaT ke ahl-e-qafas
kahīñ chaman meñ nahīñ āb-o-dāna ḳhālī hai
'ajab dayār hai ye jis meñ tājdāroñ ke
juḌe haiñ taaj meñ hiire ḳhazāna ḳhālī hai
gul-o-samar se tahī haath shāḳh-sāroñ ke
sitāroñ se falak-e-be-karāna ḳhālī hai
ab aa.e ho ki nahīñ dil meñ aarzū koī
parinde uḌ chuke haiñ āshiyāna ḳhālī hai
kabhī mile tumheñ fursat to dekh lo ham ko
bas ek ham hī bache haiñ zamāna ḳhālī hai
diloñ meñ dard zabāñ meñ halāvateñ na rahīñ
so masnad-e-ġhazal-e-āshiqāna ḳhālī hai
na din bujhe hain na bazm-e-shabana KHali hai
nahin hai dil ka magar kuchh Thikana KHali hai
qafas mein phir chale aae palaT ke ahl-e-qafas
kahin chaman mein nahin aab-o-dana KHali hai
'ajab dayar hai ye jis mein tajdaron ke
juDe hain taj mein hire KHazana KHali hai
gul-o-samar se tahi hath shaKH-saron ke
sitaron se falak-e-be-karana KHali hai
ab aae ho ki nahin dil mein aarzu koi
parinde uD chuke hain aashiyana KHali hai
kabhi mile tumhein fursat to dekh lo hum ko
bas ek hum hi bache hain zamana KHali hai
dilon mein dard zaban mein halawaten na rahin
so masnad-e-ghazal-e-ashiqana KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.