na ye mumkin ki apne dard ko tahlil kar dun
na ye mumkin ki apne dard ko tahlīl kar duuñ
na ye mumkin ki us bedard ko tabdīl kar duuñ
maiñ āñkhoñ meñ ik aisī niiñd laanā chāhtā huuñ
jise dekhūñ use ik ḳhvāb meñ tabdīl kar duuñ
ye saarā shahr aap apnī havā meñ hī bikhar jaa.e
agar apnī taraf se maiñ zarā sī Dhiil kar duuñ
mujhe tanhā.ī ne itnā ziyāda kar diyā hai
jahāñ chāhūñ vahīñ ik anjuman tashkīl kar duuñ
mire bas meñ nahīñ hai varna tā-roz-e-qayāmat
maiñ is duniyā ke daftar meñ abhī tā'tīl kar duuñ
abhī mas hī hue haiñ tere hoñThoñ se mire hoñTh
ijāzat ho to is ijmāl kī tafsīl kar duuñ
na ye mumkin ki apne dard ko tahlil kar dun
na ye mumkin ki us bedard ko tabdil kar dun
main aankhon mein ek aisi nind lana chahta hun
jise dekhun use ek KHwab mein tabdil kar dun
ye sara shahr aap apni hawa mein hi bikhar jae
agar apni taraf se main zara si Dhil kar dun
mujhe tanhai ne itna ziyaada kar diya hai
jahan chahun wahin ek anjuman tashkil kar dun
mere bas mein nahin hai warna ta-roz-e-qayamat
main is duniya ke daftar mein abhi ta'til kar dun
abhi mas hi hue hain tere honThon se mere honTh
ijazat ho to is ijmal ki tafsil kar dun
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 72)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.