na-jaez hai jo bhi shikayat hai meri
nā-jā.ez hai jo bhī shikāyat hai merī
honā hī gar asl musībat hai merī
tujh se hī har zaḳhm mirā mansūb nahīñ
duniyā bhī nākām mohabbat hai merī
maiñ bhī uub chukā huuñ shor-sharābe se
sahrā ko bhī jaan ġhanīmat hai merī
aise martā dekh rahe haiñ log mujhe
jaise ye bhī koī sharārat hai merī
āḳhir mujh se ḳhatra kyā hai duniyā ko
kyoñ itnī har vaqt hifāzat hai merī
ye jo merī chup hai ye bā-mā’nī chup
yahī shikāyat yahī baġhāvat hai merī
na-jaez hai jo bhi shikayat hai meri
hona hi gar asl musibat hai meri
tujh se hi har zaKHm mera mansub nahin
duniya bhi nakaam mohabbat hai meri
main bhi ub chuka hun shor-sharabe se
sahra ko bhi jaan ghanimat hai meri
aise marta dekh rahe hain log mujhe
jaise ye bhi koi shararat hai meri
aaKHir mujh se KHatra kya hai duniya ko
kyon itni har waqt hifazat hai meri
ye jo meri chup hai ye ba-ma’ni chup
yahi shikayat yahi baghawat hai meri
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 80)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.