naznin jin ke kuchh niyaz nahin
nāznīñ jin ke kuchh niyāz nahīñ
in hasīnoñ se dil ko saaz nahīñ
ġhair kā bhed kyuuñ na khul jaa.e
aap ke dil kā to vo raaz nahīñ
ik tirī zaat ke sivā zāhid
koī duniyā meñ pāk-bāz nahīñ
is meñ paatā huuñ kuchh tirī ḳhūbī
mujh ko be-vaj.h dil pe naaz nahīñ
jitne haiñ ahl-e-dard haiñ hamdard
dil vo patthar hai jo gudāz nahīñ
kah rahī hai ye sādgī kī adā
nek-o-bad meñ kuchh imtiyāz nahīñ
jubba-sā.ī butoñ ke dar kī 'hafīz'
zāhid-e-ḳhushk kī namāz nahīñ
naznin jin ke kuchh niyaz nahin
in hasinon se dil ko saz nahin
ghair ka bhed kyun na khul jae
aap ke dil ka to wo raaz nahin
ek teri zat ke siwa zahid
koi duniya mein pak-baz nahin
is mein pata hun kuchh teri KHubi
mujh ko be-wajh dil pe naz nahin
jitne hain ahl-e-dard hain hamdard
dil wo patthar hai jo gudaz nahin
kah rahi hai ye sadgi ki ada
nek-o-bad mein kuchh imtiyaz nahin
jubba-sai buton ke dar ki 'hafiz'
zahid-e-KHushk ki namaz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.