nae makan mein aqide ki koi ja hi nahin
na.e makāñ meñ aqīde kī koī jā hī nahīñ
ḳhudā to hai pa kahīñ banda-e-ḳhudā hī nahīñ
bharosa yuuñ to bahut thā magar duā ke liye
jo haath ham ne uThāyā to vo uThā hī nahīñ
har ek shaḳhs yahāñ apne-āp meñ gum hai
kisī se haath milāne kā fā.eda hī nahīñ
lahū-luhān hai jo bhī udhar se aayā hai
magar ye maiñ ki jo us raah tak gayā hī nahīñ
dayār-e-ḳhvāb hai aao yahīñ qayām kareñ
yahāñ se yuuñ bhī nikalne kā rāsta hī nahīñ
nae makan mein aqide ki koi ja hi nahin
KHuda to hai pa kahin banda-e-KHuda hi nahin
bharosa yun to bahut tha magar dua ke liye
jo hath hum ne uThaya to wo uTha hi nahin
har ek shaKHs yahan apne-ap mein gum hai
kisi se hath milane ka faeda hi nahin
lahu-luhan hai jo bhi udhar se aaya hai
magar ye main ki jo us rah tak gaya hi nahin
dayar-e-KHwab hai aao yahin qayam karen
yahan se yun bhi nikalne ka rasta hi nahin
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.