Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqsh fariyaadi hai kis ki shoKHi-e-tahrir ka

Mirza Ghalib

naqsh fariyaadi hai kis ki shoKHi-e-tahrir ka

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    Interesting Fact

    Ghalib himself has said in a letter regarding this couplet that "in Iran, it is a custom that the plantiff would go to the ruler in a paper robe, such as lighting a torch during the day or hanging a blood-stained cloth on a bamboo pole."

    naqsh fariyādī hai kis shoḳhi-e-tahrīr

    kāġhzī hai pairahan har paikar-e-tasvīr

    For favours from whose playful hand, does the word aspire

    Each one's an abject supplicant in paper-like attire

    kaav kāv-e-saḳht-jānī hā.e-tanhā.ī na pūchh

    sub.h karnā shaam laanā hai jū-e-shīr

    What constant pain this loneliness you may not believe

    Like from mountains drawing milk, is passing morn to eve

    jazba-e-be-iḳhtiyār-e-shauq dekhā chāhiye

    sīna-e-shamshīr se bāhar hai dam shamshīr

    The spirit of love's frenzied state is worth, truly, seeing

    As though sharpness of the sword exists outside its being

    āgahī dām-e-shunīdan jis qadar chāhe bichhā.e

    mudda.ā anqā hai apne ālam-e-taqrīr

    Awareness may well cast its net of knowing all around

    What I speak is like a phoenix, unknowable, profound

    bas-ki huuñ 'ġhālib' asīrī meñ bhī ātish zer-e-pā

    mū-e-ātish diida hai halqa mirī zanjīr

    Even in bondage, passion's so, there's fire neath my feet

    The chains that hold me are as though,hair singed by fire's heat

    ātishīñ-pā huuñ gudāz-e-vahshat-e-zindāñ na pūchh

    mū-e-ātish diida hai har halqa yaañ zanjīr

    shoḳhī-e-nairañg said-e-vahshat-e-tā.ūs hai

    dām-e-sabza meñ hai parvāz-e-chaman tasḳhīr

    lazzat-e-ījād-e-nāz afsūn-e-arz-e-zauq-e-qatl

    na.al ātish meñ hai teġh-e-yār se naḳhchīr

    ḳhisht pusht-e-dast-e-ijz o qālib āġhosh-e-vidā.a

    pur huā hai sail se paimāna kis ta.amīr

    vahshat-e-ḳhvāb-e-adam shor-e-tamāshā hai 'asad'

    jo maza jauhar nahīñ ā.īna-e-ta.abīr

    naqsh fariyaadi hai kis ki shoKHi-e-tahrir ka

    kaghzi hai pairahan har paikar-e-taswir ka

    For favours from whose playful hand, does the word aspire

    Each one's an abject supplicant in paper-like attire

    kaw kaw-e-saKHt-jaani hae-tanhai na puchh

    subh karna sham ka lana hai ju-e-shir ka

    What constant pain this loneliness you may not believe

    Like from mountains drawing milk, is passing morn to eve

    jazba-e-be-iKHtiyar-e-shauq dekha chahiye

    sina-e-shamshir se bahar hai dam shamshir ka

    The spirit of love's frenzied state is worth, truly, seeing

    As though sharpness of the sword exists outside its being

    aagahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichhae

    muddaa anqa hai apne aalam-e-taqrir ka

    Awareness may well cast its net of knowing all around

    What I speak is like a phoenix, unknowable, profound

    bas-ki hun 'ghaalib' asiri mein bhi aatish zer-e-pa

    mu-e-atish dida hai halqa meri zanjir ka

    Even in bondage, passion's so, there's fire neath my feet

    The chains that hold me are as though,hair singed by fire's heat

    aatishin-pa hun gudaz-e-wahshat-e-zindan na puchh

    mu-e-atish dida hai har halqa yan zanjir ka

    shoKHi-e-nairang said-e-wahshat-e-taus hai

    dam-e-sabza mein hai parwaz-e-chaman tasKHir ka

    lazzat-e-ijad-e-naz afsun-e-arz-e-zauq-e-qatl

    nal aatish mein hai tegh-e-yar se naKHchir ka

    KHisht pusht-e-dast-e-ijz o qalib aaghosh-e-widaa

    pur hua hai sail se paimana kis tamir ka

    wahshat-e-KHwab-e-adam shor-e-tamasha hai 'asad'

    jo maza jauhar nahin aaina-e-tabir ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Talat Mahmood

    Talat Mahmood

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Zulfiqar Ali Bukhari

    RECITATIONS

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Javed Naseem

    naqsh fariyaadi hai kis ki shoKHi-e-tahrir ka Javed Naseem

    Fasih Akmal

    naqsh fariyaadi hai kis ki shoKHi-e-tahrir ka Fasih Akmal

    Source:

    Deewan-e-Ghalib Jadeed (Pg. 146)

    • Author: Mirza Ghalib
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now