naya khila hai shagufa koi bahaar mein kya
nayā khilā hai shagūfa koī bahār meñ kyā
guñdhā huā hai mirā dil kisī ke haar meñ kyā
uḌāne phuul hasīñ aa.e haiñ bahār meñ kyā
lagī hai aag sī ye aaj lāla-zār meñ kyā
kisī se kahne ye aa.e haiñ vo sahar hote
tamām-rāt kaTī mere intizār meñ kyā
tumhāre ḳhaal kā bosa nahīñ hai gintī meñ
zarā sī chiiz hai aa.egī ye shumār meñ kyā
utaar lī sar-e-bāzār jis ne ruḳh se naqāb
hijāb aa.e use sau maiñ kyā hazār meñ kyā
ye surma chashm-e-adū ke liye uThā rakkheñ
vo ḳhaak Dālte haiñ chashm-e-etibār meñ kyā
banā.eñge dil-e-pur-dāġh jam.a kar ke unheñ
chamakte dekhe haiñ zarre mire ġhubār meñ kyā
ye mere dosh se hote nahīñ judā dam-e-naz.a
gaḌeñge mere farishte mire mazār meñ kyā
hai intizār ki mai-nosh ḳhum liye pahuñcheñ
ghirī haiñ kal se ghaTā.eñ ye sabza-zār meñ kyā
jo dekhe saañp ke kaaTe kī lahr use aa.e
bharā hai zahr ab aisā bhī zulf-e-yār meñ kyā
sharāb se bhī sivā ḳhush-gavār hai ham ko
batā.eñ kyā ki mazā paḌ gayā udhār meñ kyā
kanār-e-shauq meñ aa kar hasīñ nikal na sake
asar ḳhudā ne diyā hai hamāre pyaar meñ kyā
'riyāz' tauba karo din ḳhizāñ ke aa.e haiñ
tum aa.e piine ko jaatī huī bahār meñ kyā
naya khila hai shagufa koi bahaar mein kya
gundha hua hai mera dil kisi ke haar mein kya
uDane phul hasin aae hain bahaar mein kya
lagi hai aag si ye aaj lala-zar mein kya
kisi se kahne ye aae hain wo sahar hote
tamam-raat kaTi mere intizar mein kya
tumhaare KHal ka bosa nahin hai ginti mein
zara si chiz hai aaegi ye shumar mein kya
utar li sar-e-bazar jis ne ruKH se naqab
hijab aae use sau main kya hazar mein kya
ye surma chashm-e-adu ke liye uTha rakkhen
wo KHak Dalte hain chashm-e-etibar mein kya
banaenge dil-e-pur-dagh jama kar ke unhen
chamakte dekhe hain zarre mere ghubar mein kya
ye mere dosh se hote nahin juda dam-e-naza
gaDenge mere farishte mere mazar mein kya
hai intizar ki mai-nosh KHum liye pahunchen
ghiri hain kal se ghaTaen ye sabza-zar mein kya
jo dekhe sanp ke kaTe ki lahr use aae
bhara hai zahr ab aisa bhi zulf-e-yar mein kya
sharab se bhi siwa KHush-gawar hai hum ko
bataen kya ki maza paD gaya udhaar mein kya
kanar-e-shauq mein aa kar hasin nikal na sake
asar KHuda ne diya hai hamare pyar mein kya
'riyaz' tauba karo din KHizan ke aae hain
tum aae pine ko jati hui bahaar mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.