nazar nazar mein liye tera pyar phirte hain
nazar nazar meñ liye terā pyaar phirte haiñ
misāl-e-mauj-e-nasīm-e-bahār phirte haiñ
tire dayār se zarroñ ne raushnī paa.ī
tire dayār meñ ham sogvār phirte haiñ
ye hādisa bhī ajab hai ki tere dīvāne
lagā.e dil se ġham-e-rozgār phirte haiñ
liye hue haiñ do aalam kā dard siine meñ
tirī galī meñ jo dīvāna-vār phirte haiñ
bahār aa ke chalī bhī ga.ī magar 'jālib'
abhī nigāh meñ vo lāla-zār phirte haiñ
nazar nazar mein liye tera pyar phirte hain
misal-e-mauj-e-nasim-e-bahaar phirte hain
tere dayar se zarron ne raushni pai
tere dayar mein hum sogwar phirte hain
ye hadisa bhi ajab hai ki tere diwane
lagae dil se gham-e-rozgar phirte hain
liye hue hain do aalam ka dard sine mein
teri gali mein jo diwana-war phirte hain
bahaar aa ke chali bhi gai magar 'jalib'
abhi nigah mein wo lala-zar phirte hain
- Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 63)
- Author : Habib Jalib
- Publication : Tahir Sons Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.