nazar ne kar diya ghaeb dikhaya dil ne jo jalwa
nazar ne kar diyā ġhā.eb dikhāyā dil ne jo jalva
bazāhir hai jo bīnā.ī haqīqat meñ hai vo parda
use DhūñDeñ kahāñ koī nahīñ jis kā nishāñ koī
hujūm-e-nūr hai vo nuur kā kyā naqsh kyā chehra
hue behosh sab ke sab huā jin par bhī zāhir vo
to phir jalva koī us kā bayāñ kartā to kyā kartā
makīn-e-har-makāñ kahiye yā kahiye lā-makāñ us ko
hai har ghar meñ nahīñ lekin kisī ghar meñ samā saktā
vahī nazreñ vahī nāzir vahī ḳhud har nazāra hai
ki hai kul qudrat-e-qādir karishma us kī vahdat kā
'sadā' sab munhasir hai dekhne vaalī nigāhoñ par
kisī ko hāzir-o-nāzir kisī ko hai gumāñ lagtā
nazar ne kar diya ghaeb dikhaya dil ne jo jalwa
bazahir hai jo binai haqiqat mein hai wo parda
use DhunDen kahan koi nahin jis ka nishan koi
hujum-e-nur hai wo nur ka kya naqsh kya chehra
hue behosh sab ke sab hua jin par bhi zahir wo
to phir jalwa koi us ka bayan karta to kya karta
makin-e-har-makan kahiye ya kahiye la-makan us ko
hai har ghar mein nahin lekin kisi ghar mein sama sakta
wahi nazren wahi nazir wahi KHud har nazara hai
ki hai kul qudrat-e-qadir karishma us ki wahdat ka
'sada' sab munhasir hai dekhne wali nigahon par
kisi ko hazir-o-nazir kisi ko hai guman lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.