nigah-e-naz ka Khaali gaya na tir koi
nigāh-e-nāz kā ḳhālī gayā na tiir koī
kisī kī jaan ga.ī aur huā asiir koī
visāl-e-yār kā rasta dikhā rahī ho jo
hamāre haath meñ dikhtī nahīñ lakīr koī
na bhuul kar bhī karo in hasīñ butoñ kā yaqīñ
na in butoñ kā ḳhudā hai na in kā piir koī
kabhī kabhī mujhe sab se amiir lagtā hai
galī ke moḌ pe baiThā huā faqīr koī
kahāñ talak yuuñ akele safar karoge 'sadā'
tumhāre saath na rahbar na rāhgīr koī
nigah-e-naz ka KHali gaya na tir koi
kisi ki jaan gai aur hua asir koi
visal-e-yar ka rasta dikha rahi ho jo
hamare hath mein dikhti nahin lakir koi
na bhul kar bhi karo in hasin buton ka yaqin
na in buton ka KHuda hai na in ka pir koi
kabhi kabhi mujhe sab se amir lagta hai
gali ke moD pe baiTha hua faqir koi
kahan talak yun akele safar karoge 'sada'
tumhaare sath na rahbar na rahgir koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.