pas se dekho jugnu aansu dur se dekho tara aansu
paas se dekho jugnū aañsū duur se dekho taarā aañsū
maiñ phūloñ kī sej pe baiThā aadhī raat kā tanhā aañsū
merī in āñkhoñ ne aksar ġham ke donoñ pahlū dekhe
Thahr gayā to patthar aañsū bah niklā to dariyā aañsū
pyaar ajab talvār hai jis par ham donoñ ke naam likhe haiñ
Tahnī Tahnī kaliyāñ aañsū patthar patthar jharnā aañsū
mausam kī ḳhushbū meñ aksar ġham kī ḳhushbū mil jaatī hai
aamoñ ke bāġhoñ meñ kaise sāvan sāvan barsā aañsū
apne bachpan kā qissa hai ik tasvīr banā.ī us ne
mehñdī vaale haath rache the biich hathelī Tapkā aañsū
ik gaañv meñ do bārāteñ shāyad dūlhā badal gayā hai
merī aañkh meñ terā aañsū terī aañkh meñ merā aañsū
pas se dekho jugnu aansu dur se dekho tara aansu
main phulon ki sej pe baiTha aadhi raat ka tanha aansu
meri in aankhon ne aksar gham ke donon pahlu dekhe
Thahr gaya to patthar aansu bah nikla to dariya aansu
pyar ajab talwar hai jis par hum donon ke nam likhe hain
Tahni Tahni kaliyan aansu patthar patthar jharna aansu
mausam ki KHushbu mein aksar gham ki KHushbu mil jati hai
aamon ke baghon mein kaise sawan sawan barsa aansu
apne bachpan ka qissa hai ek taswir banai us ne
mehndi wale hath rache the bich hatheli Tapka aansu
ek ganw mein do baraaten shayad dulha badal gaya hai
meri aankh mein tera aansu teri aankh mein mera aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.