pahle bhi sahe hain ranj bahut par aisi ghaDi kab aai hai
pahle bhi sahe hain ranj bahut par aisi ghaDi kab aai hai
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
pahle bhī sahe haiñ ranj bahut par aisī ghaḌī kab aa.ī hai
kitnī kaalī kaalī rāteñ kitnī kaḌī tanhā.ī hai
mere man ke sāgar meñ Duubo to shāyad jaan sako
jo jo aañsū maiñ ne piye haiñ un meñ kyā gahrā.ī hai
mujh ko mere haal pe chhoḌo jo biitī so biit ga.ī
duniyā-bhar se kaun kahe ye ġham kī baḌī rusvā.ī hai
kis kis taur zamāne-bhar ke ham ne kachoke khaa.e haiñ
tum bhī sun kar rone lage yaañ hañs hañs 'umr bitā.ī hai
ham be-parvā 'āshiq tere ham ġham-e-daurāñ ko kyā jāneñ
jis ke kāran tujh ko chhoḌā haañ us ġham kī duhā.ī hai
jal jal kar ham ḳhaak hue tab jā ke nigāheñ Thahrī haiñ
haa.e vo jism-e-nāz ki jis meñ ā.īne kī safā.ī hai
jin galiyoñ meñ 'āzmī' sāhab aap bahut badnām hue
phir bhī aap vahīñ jaate haiñ is meñ kyā dānā.ī hai
pahle bhi sahe hain ranj bahut par aisi ghaDi kab aai hai
kitni kali kali raaten kitni kaDi tanhai hai
mere man ke sagar mein Dubo to shayad jaan sako
jo jo aansu main ne piye hain un mein kya gahrai hai
mujh ko mere haal pe chhoDo jo biti so bit gai
duniya-bhar se kaun kahe ye gham ki baDi ruswai hai
kis kis taur zamane-bhar ke hum ne kachoke khae hain
tum bhi sun kar rone lage yan hans hans 'umr bitai hai
hum be-parwa 'ashiq tere hum gham-e-dauran ko kya jaanen
jis ke karan tujh ko chhoDa han us gham ki duhai hai
jal jal kar hum KHak hue tab ja ke nigahen Thahri hain
hae wo jism-e-naz ki jis mein aaine ki safai hai
jin galiyon mein 'azmi' sahab aap bahut badnam hue
phir bhi aap wahin jate hain is mein kya danai hai
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 52)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.