pata hai aashna duniya hai tum se
pata hai āshnā duniyā hai tum se
magar merā bhī kuchh rishta hai tum se
namī sī aañkh meñ rahtī hai har dam
ye sahrā aaj bhī dariyā hai tum se
nigāhoñ se kabhī ojhal na honā
koī apnī ḳhabar rakhtā hai tum se
bahut maqbūl haiñ kuchh jhuuT mere
unhīñ meñ ek vābasta hai tum se
kaho lab se agar inkār bhī hai
mujhe shāyad yahī sunñā hai tum se
zarā sā pyaar hī to chāhtā huuñ
batāo aur kyā jhagḌā hai tum se
bharosa uTh gayā lafzoñ se merā
mujhe ab kuchh nahīñ kahnā hai tum se
pata hai aashna duniya hai tum se
magar mera bhi kuchh rishta hai tum se
nami si aankh mein rahti hai har dam
ye sahra aaj bhi dariya hai tum se
nigahon se kabhi ojhal na hona
koi apni KHabar rakhta hai tum se
bahut maqbul hain kuchh jhuT mere
unhin mein ek wabasta hai tum se
kaho lab se agar inkar bhi hai
mujhe shayad yahi sunna hai tum se
zara sa pyar hi to chahta hun
batao aur kya jhagDa hai tum se
bharosa uTh gaya lafzon se mera
mujhe ab kuchh nahin kahna hai tum se
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 133)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.