phir kahin zikr kiya hai us ka
phir kahīñ zikr kiyā hai us kā
jaane kyā naam liyā hai us kā
jaane vaale ko pata thā shāyad
bevafā.ī meñ bhalā hai us kā
dekh ye vaqt nahīñ chūmne kā
dil 'ibādat meñ paḌā hai us kā
jitnī tāsīr baḌhī hai us kī
zā.iqa talḳh huā hai us kā
ab mire dil meñ nahīñ rahtā vo
ye to pahle kā pata hai us kā
phir kahin zikr kiya hai us ka
jaane kya nam liya hai us ka
jaane wale ko pata tha shayad
bewafai mein bhala hai us ka
dekh ye waqt nahin chumne ka
dil 'ibaadat mein paDa hai us ka
jitni tasir baDhi hai us ki
zaiqa talKH hua hai us ka
ab mere dil mein nahin rahta wo
ye to pahle ka pata hai us ka
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 70)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.