phir uske baad na tha zer-e-pa zamin hona
phir us ke baa'd na thā zer-e-pā zamīñ honā
magar zarar se bachātā rahā yaqīñ honā
ujaḌne detā hai mujh ko na basne detā hai
ye terī yaad kā mujh meñ panah-guzīñ honā
tamām raunaq-e-hastī miTā gayā yak-laḳht
us ik sitāra-e-manhūs kā qarīñ honā
vo dekhtā huuñ jo vāqe' abhī huā bhī nahīñ
koī 'azāb hai ye chashm-e-dūrbīñ honā
abhī ḳhalāoñ kā lambā safar bhī hai dar-pesh
mujhe zamīñ se bahut munsalik nahīñ honā
phir us ke ba'd na tha zer-e-pa zamin hona
magar zarar se bachata raha yaqin hona
ujaDne deta hai mujh ko na basne deta hai
ye teri yaad ka mujh mein panah-guzin hona
tamam raunaq-e-hasti miTa gaya yak-laKHt
us ek sitara-e-manhus ka qarin hona
wo dekhta hun jo waqe' abhi hua bhi nahin
koi 'azab hai ye chashm-e-durbin hona
abhi KHalaon ka lamba safar bhi hai dar-pesh
mujhe zamin se bahut munsalik nahin hona
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 64)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.