pi chuke the zahr-e-gham KHasta-jaan paDe the hum chain tha
pi chuke the zahr-e-gham KHasta-jaan paDe the hum chain tha
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
pī chuke the zahr-e-ġham ḳhasta-jāñ paḌe the ham chain thā
phir kisī tamannā ne saañp kī tarah ham ko Das liyā
mere ghar tak aate hī kyuuñ judā huī tujh se kuchh batā
ek aur aahaT bhī saath saath thī tere, ai sabā
sar meñ jo bhī thā saudā uḌ gayā ḳhalāoñ meñ misl-e-gard
ham paḌe haiñ raste meñ nīm-jāñ shikasta-dil ḳhasta-pā
sab khaḌe the āñgan meñ aur mujh ko takte the, baar baar
ghar se jab maiñ niklā thā mujh ko rokne vaalā kaun thā
josh ghaTtā jaatā thā TūTte se jaate the hausle
aur sāmne 'bānī' dauḌtā sā jaatā thā rāstā
pi chuke the zahr-e-gham KHasta-jaan paDe the hum chain tha
phir kisi tamanna ne sanp ki tarah hum ko Das liya
mere ghar tak aate hi kyun juda hui tujh se kuchh bata
ek aur aahaT bhi sath sath thi tere, ai saba
sar mein jo bhi tha sauda uD gaya KHalaon mein misl-e-gard
hum paDe hain raste mein nim-jaan shikasta-dil KHasta-pa
sab khaDe the aangan mein aur mujh ko takte the, bar bar
ghar se jab main nikla tha mujh ko rokne wala kaun tha
josh ghaTta jata tha TuTte se jate the hausle
aur samne 'bani' dauDta sa jata tha rasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.