qafile se bhaTak chuka hun main
qāfile se bhaTak chukā huuñ maiñ
ab faqat raah dekhtā huuñ maiñ
jis kā hal hī nahīñ kisī ke paas
yuuñ samajh le vo mas.ala huuñ maiñ
tere dil meñ qiyām thā merā
kaise ashkoñ meñ bah gayā huuñ maiñ
merā maskan to ye azal se na thā
jis jazīre pe rah rahā huuñ maiñ
ālam-e-vasl bhī hai yaad mujhe
furqatoñ se bhī āshnā huuñ maiñ
saarā lashkar hī ro rahā hai mujhe
kaisā dil-soz ma.arka huuñ maiñ
naav tūfāñ kī zad meñ hai 'jāmī'
aur akelā hī bach gayā huuñ maiñ
qafile se bhaTak chuka hun main
ab faqat rah dekhta hun main
jis ka hal hi nahin kisi ke pas
yun samajh le wo masala hun main
tere dil mein qiyam tha mera
kaise ashkon mein bah gaya hun main
mera maskan to ye azal se na tha
jis jazire pe rah raha hun main
aalam-e-wasl bhi hai yaad mujhe
furqaton se bhi aashna hun main
sara lashkar hi ro raha hai mujhe
kaisa dil-soz marka hun main
naw tufan ki zad mein hai 'jami'
aur akela hi bach gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.