qadam qadam hai ek aafat sharab pite hain
qadam qadam hai ik aafat sharāb piite haiñ
ki ham najāt kī sūrat sharāb piite haiñ
tamām ahl-e-siyāsat ko ḳhuun piine do
chalo ham ahl-e-mohabbat sharāb piite haiñ
jo zahr-e-‘aql bahut pī rahe haiñ shahr ke log
to aa idhar mirī vahshat sharāb piite haiñ
huī hai ḳhvāb kī maut aur koī rotā nahīñ
uThāo jām-e-haqīqat sharāb piite haiñ
nahīñ ba'īd jo kal ham bhī ḳhuun piine lageñ
abhī yahī hai ġhanīmat sharāb piite haiñ
qadam qadam hai ek aafat sharab pite hain
ki hum najat ki surat sharab pite hain
tamam ahl-e-siyasat ko KHun pine do
chalo hum ahl-e-mohabbat sharab pite hain
jo zahr-e-‘aql bahut pi rahe hain shahr ke log
to aa idhar meri wahshat sharab pite hain
hui hai KHwab ki maut aur koi rota nahin
uThao jam-e-haqiqat sharab pite hain
nahin ba'id jo kal hum bhi KHun pine lagen
abhi yahi hai ghanimat sharab pite hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 127)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.