Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qismat mein agar judaiyan hain

Sabir Zafar

qismat mein agar judaiyan hain

Sabir Zafar

MORE BYSabir Zafar

    qismat meñ agar judā.iyāñ haiñ

    phir kyuuñ tirī yādeñ ā.iyāñ haiñ

    yaañ jiine sūrateñ haiñ jitnī

    vo sūrateñ sab parā.iyāñ haiñ

    fariyād-kunāñ nahīñ bas ik maiñ

    chāroñ taraf duhā.iyāñ haiñ

    har darje pe ishq kar ke dekhā

    har darje meñ bevafā.iyāñ haiñ

    ik terā burā kabhī na chāhā

    go ham meñ bahut burā.iyāñ haiñ

    taqrīb-e-visāl-e-yār hai kyā

    kūche meñ tire safā.iyāñ haiñ

    us ne bhī kasar koī koī chhoḌī

    ham ne bhī bahut sunā.iyāñ haiñ

    ab aur kahīñ ruḳh kareñ aap

    is jag meñ to jag-hañsā.iyāñ haiñ

    kaise kareñ bandagī 'zafar' vaañ

    bandoñ jahāñ ḳhudā.iyāñ haiñ

    qismat mein agar judaiyan hain

    phir kyun teri yaaden aaiyan hain

    yan jine ki suraten hain jitni

    wo suraten sab paraiyan hain

    fariyaad-kunan nahin bas ek main

    chaaron hi taraf duhaiyan hain

    har darje pe ishq kar ke dekha

    har darje mein bewafaiyan hain

    ek tera bura kabhi na chaha

    go hum mein bahut buraiyan hain

    taqrib-e-visal-e-yar hai kya

    kuche mein tere safaiyan hain

    us ne bhi kasar koi koi chhoDi

    hum ne bhi bahut sunaiyan hain

    ab aur kahin ka ruKH karen aap

    is jag mein to jag-hansaiyan hain

    kaise karen bandagi 'zafar' wan

    bandon ki jahan KHudaiyan hain

    Source :
    • Book : Mazhab e Ishq (Pg. 492)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now