qurbaton mein koi rahat na kisi duri mein
qurbatoñ meñ koī rāhat na kisī duurī meñ
jaan halkān huī 'ishq kī mazdūrī meñ
tujh se ab koī tavaqqo' nahīñ par baiThe haiñ
ham tire sāya-e-dīvār kī majbūrī meñ
ek bīmār tamanna kā sahārā le kar
tujh talak chalte hue aa.e haiñ mā’zūrī meñ
dekhne vāloñ ne yak-jān samajh rakkhā thā
aur ham saath nibhāte rahe majbūrī meñ
tum ne is baat kī gar us se ijāzat chāhī
'umr lag jā.egī is baat kī majbūrī meñ
in dinoñ shahr kī kuchh aisī fazā hai ki 'jamāl'
ghar se jaate haiñ nikal kar baḌī majbūrī meñ
qurbaton mein koi rahat na kisi duri mein
jaan halkan hui 'ishq ki mazduri mein
tujh se ab koi tawaqqo' nahin par baiThe hain
hum tere saya-e-diwar ki majburi mein
ek bimar tamanna ka sahaara le kar
tujh talak chalte hue aae hain ma’zuri mein
dekhne walon ne yak-jaan samajh rakkha tha
aur hum sath nibhate rahe majburi mein
tum ne is baat ki gar us se ijazat chahi
'umr lag jaegi is baat ki majburi mein
in dinon shahr ki kuchh aisi faza hai ki 'jamal'
ghar se jate hain nikal kar baDi majburi mein
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 100)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.