rah-e-sitam mein soz-e-jigar kaise chhoD den
rāh-e-sitam meñ soz-e-jigar kaise chhoḌ deñ
lambā safar hai zād-e-safar kaise chhoḌ deñ
āñdhī meñ chhoḌte haiñ kahīñ āshiyāñ parind
ham is havā ke ḳhauf se ghar kaise chhoḌ deñ
chandan ke ban meñ saañp nikalte hī rahte haiñ
is Dar se ḳhushbuoñ ke shajar kaise chhoḌ deñ
jab kuchh na thā to ham ne diyā thā zamīñ ko ḳhuuñ
ab fasl pak chukī to samar kaise chhoḌ deñ
ai dil vo dekh ḳhema-e-fardā qarīb hai
tujh ko fasīl-e-shab ke idhar kaise chhoḌ deñ
maanā ki ek 'umr se Thahrī huī hai raat
insān haiñ umīd-e-sahar kaise chhoḌ deñ
rah-e-sitam mein soz-e-jigar kaise chhoD den
lamba safar hai zad-e-safar kaise chhoD den
aandhi mein chhoDte hain kahin aashiyan parind
hum is hawa ke KHauf se ghar kaise chhoD den
chandan ke ban mein sanp nikalte hi rahte hain
is Dar se KHushbuon ke shajar kaise chhoD den
jab kuchh na tha to hum ne diya tha zamin ko KHun
ab fasl pak chuki to samar kaise chhoD den
ai dil wo dekh KHema-e-farda qarib hai
tujh ko fasil-e-shab ke idhar kaise chhoD den
mana ki ek 'umr se Thahri hui hai raat
insan hain umid-e-sahar kaise chhoD den
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 76)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.