rah sunsan kaDi dhup pighalte sae
raah sunsān kaḌī dhuup pighalte saa.e
jism se lipTī huī ruuh kahāñ tak jaa.e
shaam tak phir mire qadmoñ meñ giregā sūraj
din meñ kitnī hī bulandī pe ye par phailā.e
sang-rezoñ pe utartī hai kiran kī devī
rang kohsār ke mukhḌe kā nikhartā jaa.e
duur kohsār ke dāman meñ khaḌā ek shajar
kitnī bisrī huī yādoñ kī sadā dohrā.e
saikḌoñ naqsh ubharne ko haiñ bechain magar
in rivāyāt ke patthar ko koī pighlā.e
rah sunsan kaDi dhup pighalte sae
jism se lipTi hui ruh kahan tak jae
sham tak phir mere qadmon mein girega suraj
din mein kitni hi bulandi pe ye par phailae
sang-rezon pe utarti hai kiran ki dewi
rang kohsar ke mukhDe ka nikharta jae
dur kohsar ke daman mein khaDa ek shajar
kitni bisri hui yaadon ki sada dohrae
saikDon naqsh ubharne ko hain bechain magar
in riwayat ke patthar ko koi pighlae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.