raat aati rahti hai din nikalta rahta hai
raat aatī rahtī hai din nikaltā rahtā hai
aur ḳhudā ke bandoñ kā kaam chaltā rahtā hai
phir rahā huuñ bastī meñ ye pata liye kab se
ik charāġh us ghar meñ din ko jaltā rahtā hai
ek ghar hai maiñ jis meñ rahtā huuñ ḳhush-o-ḳhurram
ek baat hai jis se dil dahaltā rahtā hai
maiñ bhī āsmānoñ meñ roz izāfa kartā huuñ
vo bhī in zamīnoñ kā ruḳh badaltā rahtā hai
ziist kī tamāzat meñ shāḳh-e-marg se aage
rāh-rau Thahartā hai rasta chaltā rahtā hai
'ishq karne vāloñ ko sirf ye suhūlat hai
kuchh na karne se bhī kuchh dil bahaltā rahtā hai
maiñ bisāt-e-duniyā ko jab lapeT detā huuñ
koī dūsrā mujh meñ ghar badaltā rahtā hai
raat aati rahti hai din nikalta rahta hai
aur KHuda ke bandon ka kaam chalta rahta hai
phir raha hun basti mein ye pata liye kab se
ek charagh us ghar mein din ko jalta rahta hai
ek ghar hai main jis mein rahta hun KHush-o-KHurram
ek baat hai jis se dil dahalta rahta hai
main bhi aasmanon mein roz izafa karta hun
wo bhi in zaminon ka ruKH badalta rahta hai
zist ki tamazat mein shaKH-e-marg se aage
rah-rau Thaharta hai rasta chalta rahta hai
'ishq karne walon ko sirf ye suhulat hai
kuchh na karne se bhi kuchh dil bahalta rahta hai
main bisat-e-duniya ko jab lapeT deta hun
koi dusra mujh mein ghar badalta rahta hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 90)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.