rahna nahin agarche gawara zamin par
rahnā nahīñ agarche gavāra zamīn par
lekin ik aadmī hai hamārā zamīn par
turfa ki rasm-e-girya-o-zārī bhī uTh ga.ī
mushkil to pahle hī thā guzāra zamīn par
pahle to dī ga.ī mujhe bīnā.ī aur phir
manzar 'ajīb us ne utārā zamīn par
bhaTke huoñ ko raah dikhāne ko kam nahīñ
TuuTe hue diye kā kināra zamīn par
us kī nazar badalne se pahle kī baat hai
maiñ āsmān par thā sitāra zamīn par
rahna nahin agarche gawara zamin par
lekin ek aadmi hai hamara zamin par
turfa ki rasm-e-girya-o-zari bhi uTh gai
mushkil to pahle hi tha guzara zamin par
pahle to di gai mujhe binai aur phir
manzar 'ajib us ne utara zamin par
bhaTke huon ko rah dikhane ko kam nahin
TuTe hue diye ka kinara zamin par
us ki nazar badalne se pahle ki baat hai
main aasman par tha sitara zamin par
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 76)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.