saya saya rah mein bikhra hua
saayā saayā raah meñ bikhrā huā
ek chehra jā-ba-jā bantā huā
duur tak be-kār sī ik dopahar
ik parinda be-sabab uḌtā huā
sochte haiñ ruk hī jā.egā kahīñ
āḳhirī lamha qarīb aatā huā
dhaḌkanoñ se kuchh pata chaltā nahīñ
kaun hai dil meñ safar kartā huā
raat phir maiñ apne bistar meñ na thā
thā añdheroñ meñ kahīñ girtā huā
phir tabī.at meñ ravānī aa ga.ī
mil gayā 'alvī' ġhazal kahtā huā
saya saya rah mein bikhra hua
ek chehra ja-ba-ja banta hua
dur tak be-kar si ek dopahar
ek parinda be-sabab uDta hua
sochte hain ruk hi jaega kahin
aaKHiri lamha qarib aata hua
dhaDkanon se kuchh pata chalta nahin
kaun hai dil mein safar karta hua
raat phir main apne bistar mein na tha
tha andheron mein kahin girta hua
phir tabiat mein rawani aa gai
mil gaya 'alwi' ghazal kahta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.