sab kuchh KHak hua hai lekin chehra kya nurani hai
sab kuchh ḳhaak huā hai lekin chehra kyā nūrānī hai
patthar nīche baiTh gayā hai uupar bahtā paanī hai
bachpan se merī aadat hai phuul chhupā kar rakhtā huuñ
hāthoñ par jaltā sūraj hai dil meñ raat kī raanī hai
dafn hue rātoñ ke qisse ik chhat kī ḳhāmoshī meñ
sannāToñ kī chādar oḌhe ye dīvār purānī hai
us ko pā kar itrāoge kho kar jaan gañvā doge
bādal kā saaya hai duniyā har shai ānī-jānī hai
dil apnā ik chāñd-nagar hai achchhī sūrat vāloñ kā
shahr meñ aa kar shāyad ham ko ye jāgīr gañvānī hai
tere badan par maiñ phūloñ se us lamhe kā naam likhūñ
jis lamhe kā maiñ afsāna tū bhī ek kahānī hai
sab kuchh KHak hua hai lekin chehra kya nurani hai
patthar niche baiTh gaya hai upar bahta pani hai
bachpan se meri aadat hai phul chhupa kar rakhta hun
hathon par jalta suraj hai dil mein raat ki rani hai
dafn hue raaton ke qisse ek chhat ki KHamoshi mein
sannaTon ki chadar oDhe ye diwar purani hai
us ko pa kar itraoge kho kar jaan ganwa doge
baadal ka saya hai duniya har shai aani-jaani hai
dil apna ek chand-nagar hai achchhi surat walon ka
shahr mein aa kar shayad hum ko ye jagir ganwani hai
tere badan par main phulon se us lamhe ka nam likhun
jis lamhe ka main afsana tu bhi ek kahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.