sab log apne aainon ke sath the wahan
sab log apne ā.inoñ ke saath the vahāñ
chehre pe apne gard jamā kar maiñ ḳhush huā
merī havā chalī jo kabhī shahr-e-‘ishq meñ
us husn ke paraḳhche uḌā kar maiñ ḳhush huā
khīñche the kitne ranj ḳhud apnī talāsh meñ
ik roz apne aap ko pā kar maiñ ḳhush huā
sab log apne aainon ke sath the wahan
chehre pe apne gard jama kar main KHush hua
meri hawa chali jo kabhi shahr-e-‘ishq mein
us husn ke paraKHche uDa kar main KHush hua
khinche the kitne ranj KHud apni talash mein
ek roz apne aap ko pa kar main KHush hua
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 55)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 61)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.