sabhi se in dinon ruTha hua sa lagta hun
sabhī se in dinoñ rūThā huā sā lagtā huuñ
maiñ apne aap ko ab bevafā sā lagtā huuñ
tamām raat maiñ girtī huī havelī meñ
diloñ se niklī huī badduā sā lagtā huuñ
maiñ vo ḳhazāna huuñ haqdār jis kī duniyā hai
hazār hissoñ meñ bāñTā huā sā lagtā huuñ
mirī talāsh ba-dastūr ab bhī jaarī hai
vo mil gayā hai maiñ khoyā huā sā lagtā huuñ
mirī hañsī se udāsī ke phuul khilte haiñ
maiñ sab ke saath huuñ lekin judā sā lagtā huuñ
chamak rahā thā ye chehra kisī kī āñkhoñ meñ
maiñ aa.ine meñ koī dūsrā sā lagtā huuñ
tamām raat barastī hai ret par shabnam
maiñ apne chāñd se jab bhī ḳhafā sā lagtā huuñ
sabhi se in dinon ruTha hua sa lagta hun
main apne aap ko ab bewafa sa lagta hun
tamam raat main girti hui haweli mein
dilon se nikli hui baddua sa lagta hun
main wo KHazana hun haqdar jis ki duniya hai
hazar hisson mein banTa hua sa lagta hun
meri talash ba-dastur ab bhi jari hai
wo mil gaya hai main khoya hua sa lagta hun
meri hansi se udasi ke phul khilte hain
main sab ke sath hun lekin juda sa lagta hun
chamak raha tha ye chehra kisi ki aankhon mein
main aaine mein koi dusra sa lagta hun
tamam raat barasti hai ret par shabnam
main apne chand se jab bhi KHafa sa lagta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.