sach hai KHamoshi wajh-e-tanhai hai meri
sach hai ḳhāmoshī vaj.h-e-tanhā.ī hai merī
is ko kaise chhoḌ duuñ ye māñ-jā.ī hai merī
itne bal mat Daalo dekho dekh na le koī
tum ne jabīñ par jo tasvīr banā.ī hai merī
ghar se bāhar aañkh pe paTTī bāñdh ke niklūñgā
merī dushman āñkhoñ kī bīnā.ī hai merī
dānā.ī kī āḳhirī manzil pāgal ho jaanā
pāgal ho jaanā yaaro dānā.ī hai merī
terā ḳhayāl kahāñ thā vo to ek bagūla thā
us ne shahroñ shahroñ ḳhaak uḌaa.ī hai merī
kuchh ābādī sautelā bartāo kartī hai
aur tabī'at bhī thoḌī sahrā.ī hai merī
mujh ko tanhā.ī ke kitne raag sunātī hai
cigarette kab hai jaltī huī shahnā.ī hai merī
sach hai KHamoshi wajh-e-tanhai hai meri
is ko kaise chhoD dun ye man-jai hai meri
itne bal mat Dalo dekho dekh na le koi
tum ne jabin par jo taswir banai hai meri
ghar se bahar aankh pe paTTi bandh ke niklunga
meri dushman aankhon ki binai hai meri
danai ki aaKHiri manzil pagal ho jaana
pagal ho jaana yaro danai hai meri
tera KHayal kahan tha wo to ek bagula tha
us ne shahron shahron KHak uDai hai meri
kuchh aabaadi sautela bartao karti hai
aur tabi'at bhi thoDi sahrai hai meri
mujh ko tanhai ke kitne rag sunati hai
cigarette kab hai jalti hui shahnai hai meri
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 106)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.