sach hai kisi ki shan ye ai naznin nahin
sach hai kisī kī shaan ye ai nāznīñ nahīñ
tū har jagah hai jalva-gar aur phir kahīñ nahīñ
maiñ ne vufūr-e-shauq meñ shāyad sunā na ho
yā shāyad aap hī ne na kī ho nahīñ nahīñ
dast-e-junūñ se qat.a huā pairahan mirā
dāman nahīñ hai jeb nahīñ āstīñ nahīñ
maiñ tum se kyā batā.ūñ ki is vaqt huuñ kahāñ
jab tum ho pesh-e-chashm to phir maiñ kahīñ nahīñ
jab se gunāh chhoḌ diye sab khisak ga.e
ab koī merā dost nahīñ ham-nashīñ nahīñ
'akbar' hamāre 'ahd kā allāh re inqilāb
goyā vo āsmān nahīñ vo zamīñ nahīñ
sach hai kisi ki shan ye ai naznin nahin
tu har jagah hai jalwa-gar aur phir kahin nahin
main ne wufur-e-shauq mein shayad suna na ho
ya shayad aap hi ne na ki ho nahin nahin
dast-e-junun se qata hua pairahan mera
daman nahin hai jeb nahin aastin nahin
main tum se kya bataun ki is waqt hun kahan
jab tum ho pesh-e-chashm to phir main kahin nahin
jab se gunah chhoD diye sab khisak gae
ab koi mera dost nahin ham-nashin nahin
'akbar' hamare 'ahd ka allah re inqilab
goya wo aasman nahin wo zamin nahin
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 49)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.