sada-e-zat ke unche hisar mein gum hai
sadā-e-zāt ke ūñche hisār meñ gum hai
vo ḳhāmushī kā musāfir pukār meñ gum hai
vo shahr-e-shab ke kināre charāġh jaltā hai
ki koī sub.h mire intizār meñ gum hai
ye kah rahī haiñ kisī kī jhukī jhukī āñkheñ
badan kī aañch nazar ke ḳhumār meñ gum hai
har ek samt se us ko sadā.eñ aatī haiñ
mujhe pukār ke ḳhud bhī pukār meñ gum hai
na.e charāġh jalā mujh ko DhūñDne vaale
tirī nazar to nazar ke ġhubār meñ gum hai
sada-e-zat ke unche hisar mein gum hai
wo KHamushi ka musafir pukar mein gum hai
wo shahr-e-shab ke kinare charagh jalta hai
ki koi subh mere intizar mein gum hai
ye kah rahi hain kisi ki jhuki jhuki aankhen
badan ki aanch nazar ke KHumar mein gum hai
har ek samt se us ko sadaen aati hain
mujhe pukar ke KHud bhi pukar mein gum hai
nae charagh jala mujh ko DhunDne wale
teri nazar to nazar ke ghubar mein gum hai
- Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 183)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.