aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan se aa gaya kahan ye sham bhi kahan hui

Payam Fatehpuri

kahan se aa gaya kahan ye sham bhi kahan hui

Payam Fatehpuri

MORE BYPayam Fatehpuri

    kahāñ se aa gayā kahāñ ye shaam bhī kahāñ huī

    na ham-nafas na ham-zabāñ ye shaam bhī kahāñ huī

    bujhī nazar bujhe qadam na rāhbar na ham-safar

    na rahguzar na kārvāñ ye shaam bhī kahāñ huī

    na sham-e-dil na sham.a-e-ruḳh nujūm-e-shab na māh-e-shab

    nigāh-o-dil dhuāñ dhuāñ ye shaam bhī kahāñ huī

    na gesuoñ chhāñv hai na ārizoñ chāñdnī

    na maañg vo kahkashāñ ye shaam bhī kahāñ huī

    hayāt-e-ġham ke bojh se dabī dabī thakī thakī

    luTī luTī bazm-e-jāñ ye shaam bhī kahāñ huī

    lagī hai jaise aag chitā meñ jal rahā huuñ maiñ

    pighal rahe haiñ jism-o-jāñ ye shaam bhī kahāñ huī

    'payām' us maqām par hai aaj dil kārvāñ

    jahāñ zamīñ na āsmāñ ye shaam bhī kahāñ huī

    kahan se aa gaya kahan ye sham bhi kahan hui

    na ham-nafas na ham-zaban ye sham bhi kahan hui

    bujhi nazar bujhe qadam na rahbar na ham-safar

    na rahguzar na karwan ye sham bhi kahan hui

    na sham-e-dil na shama-e-ruKH nujum-e-shab na mah-e-shab

    nigah-o-dil dhuan dhuan ye sham bhi kahan hui

    na gesuon ki chhanw hai na aarizon ki chandni

    na mang ki wo kahkashan ye sham bhi kahan hui

    hayat-e-gham ke bojh se dabi dabi thaki thaki

    luTi luTi si bazm-e-jaan ye sham bhi kahan hui

    lagi hai jaise aag si chita mein jal raha hun main

    pighal rahe hain jism-o-jaan ye sham bhi kahan hui

    'payam' us maqam par hai aaj dil ka karwan

    jahan zamin na aasman ye sham bhi kahan hui

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 177)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now