Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahte hain log ye ki baDi dil-nashin hai sham

Karamat Ali Karamat

kahte hain log ye ki baDi dil-nashin hai sham

Karamat Ali Karamat

kahte haiñ log ye ki baḌī dil-nashīñ hai shaam

lekin mujhe ye lagtā hai andoh-gīñ hai shaam

ye ik chhalāvā hai ki pahāḌoñ aag hai

vahm-o-gumāñ shakl meñ jaise yaqīñ hai shaam

kyā us ko DhūñDte ho ḳhalāoñ ke darmiyāñ

tum apne dil meñ khoj ke dekho yahīñ hai shaam

ye kaisī machhliyāñ haiñ chamaktī haiñ raat bhar

ye jhiil hai ki ek nigāh-e-hasīñ hai shaam

donoñ vasl ho to shafaq-rañg ho ye dil

hai raat āsmān to goyā zamīñ hai shaam

din gunāh raat ke sar aa gayā hai kyūñ?

kyā shab be-gunāhī shāhid nahīñ hai shām?

ye to badal chukī hai 'karāmat' havā ruḳh

kaise kahūñ ki vaqt ke zer-e-nagīñ hai shaam

kahte hain log ye ki baDi dil-nashin hai sham

lekin mujhe ye lagta hai andoh-gin hai sham

ye ek chhalawa hai ki pahaDon ki aag hai

wahm-o-guman ki shakl mein jaise yaqin hai sham

kya us ko DhunDte ho KHalaon ke darmiyan

tum apne dil mein khoj ke dekho yahin hai sham

ye kaisi machhliyan hain chamakti hain raat bhar

ye jhil hai ki ek nigah-e-hasin hai sham

donon ka wasl ho to shafaq-rang ho ye dil

hai raat aasman to goya zamin hai sham

din ka gunah raat ke sar aa gaya hai kyun?

kya shab ki be-gunahi ki shahid nahin hai sham?

ye to badal chuki hai 'karamat' hawa ka ruKH

kaise kahun ki waqt ke zer-e-nagin hai sham

Source :
  • Book : Shakhe Sanobar (Pg. 187)
  • Author : Karamat Ali Karamat
  • Publication : Kamran Publications,Odisha (2006)
  • Edition : 2006

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now