shayad mujhse jaan chhuDaya karta tha
shāyad mujh se jaan chhuḌāyā kartā thā
ghar ḳhud ko vīrān batāyā kartā thā
rishte meñ ik moḌ nahīñ hai duur talak
pahle ik dorāhā aayā kartā thā
āsānī se ham bhī sabz na hote the
vo bhī apnī dhuup bachāyā kartā thā
chāñd hameñ le jaatā thā madhoshī tak
sub.h kā taara hosh meñ laayā kartā thā
ḳhālī haath utartā thā dūkānoñ se
ādhe-paune daam lagāyā kartā thā
muñh par us se kartā thā iqrār kī zid
vāpas aa kar shukr manāyā kartā thā
shayad mujh se jaan chhuDaya karta tha
ghar KHud ko viran bataya karta tha
rishte mein ek moD nahin hai dur talak
pahle ek doraha aaya karta tha
aasani se hum bhi sabz na hote the
wo bhi apni dhup bachaya karta tha
chand hamein le jata tha madhoshi tak
subh ka tara hosh mein laya karta tha
KHali hath utarta tha dukanon se
aadhe-paune dam lagaya karta tha
munh par us se karta tha iqrar ki zid
wapas aa kar shukr manaya karta tha
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 83)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.