shakl de koi sabz-mausam ki
shakl de koī sabz-mausam kī
ab zarūrat bahut hai marham kī
phuul kā sar khulā na chhoḌā jaa.e
dhuup dushman bahut hai shabnam kī
ham ko mahfūz kar liyā jaa.e
ham amānat haiñ agle mausam kī
kaun aaya thā in mazāroñ par
lau charāġhoñ kī kis ne maddham kī
kuchh muqaddar thā us kā na milnā
aur kuchh ham ne justujū kam kī
tum ko sochā to hoñT khil uTThe
aur tum ne hī aañkh bhī nam kī
aao ġham bhūlne kī rut aa.ī
botaleñ khol dī ga.iiñ rum kī
log tezī se mar rahe haiñ 'shakīl'
rasm uThne lagī hai mātam kī
shakl de koi sabz-mausam ki
ab zarurat bahut hai marham ki
phul ka sar khula na chhoDa jae
dhup dushman bahut hai shabnam ki
hum ko mahfuz kar liya jae
hum amanat hain agle mausam ki
kaun aaya tha in mazaron par
lau charaghon ki kis ne maddham ki
kuchh muqaddar tha us ka na milna
aur kuchh hum ne justuju kam ki
tum ko socha to honT khil uTThe
aur tum ne hi aankh bhi nam ki
aao gham bhulne ki rut aai
botalen khol di gain rum ki
log tezi se mar rahe hain 'shakil'
rasm uThne lagi hai matam ki
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 54)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.