shama raushan hai hamari aah se
sham.a raushan hai hamārī aah se
lau lagā.e baiThe haiñ allāh se
chalte haiñ kyā-kyā vo rasta kaaT kar
jab guzarte haiñ hamārī raah se
kyoñ na rakkhūñ maiñ tabarruk kī tarah
ġham milā hai ishq kī dargāh se
ek bose par hameñ Tāleñ na aap
kuchh alāva dījiye tanḳhvāh se
maañg kar tujh ko bahut nādim huā
māñgnā thā aur kuchh allāh se
ḳhūbsūrat ho ke tum laḌne lage
bahs hai din raat mehr-o-māh se
tū ne vaa.iz zindagī dushvār kī
kyoñ kiyā vāqif ḳhudā kī raah se
shama raushan hai hamari aah se
lau lagae baiThe hain allah se
chalte hain kya-kya wo rasta kaT kar
jab guzarte hain hamari rah se
kyon na rakkhun main tabarruk ki tarah
gham mila hai ishq ki dargah se
ek bose par hamein Talen na aap
kuchh alawa dijiye tanKHwah se
mang kar tujh ko bahut nadim hua
mangna tha aur kuchh allah se
KHubsurat ho ke tum laDne lage
bahs hai din raat mehr-o-mah se
tu ne waiz zindagi dushwar ki
kyon kiya waqif KHuda ki rah se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.