Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab jaisi hain uski aankhen hai us ka chehra kitab jaisa

Puja Parastish

sharab jaisi hain uski aankhen hai us ka chehra kitab jaisa

Puja Parastish

MORE BYPuja Parastish

    sharāb jaisī haiñ us āñkheñ hai us chehra kitāb jaisā

    bahār us hasīñ tabassum vo ik shagufta gulāb jaisā

    vo zauq-e-pinhāñ vo sab se vāhid vo ek 'izzat-ma.āb jaisā

    vo rang-e-mahfil vo nau-bahārāñ vo naḳh-ba-naḳh hai navāb jaisā

    udaas dil hai sarḳhushī vo hai zindagī ke savāb jaisā

    vo merī banjar dil-zamīñ par barastā hai kuchh sahāb jaisā

    kabhī lage māhtāb mujh ko kabhī lage āftāb jaisā

    haqīqatoñ to baat chhoḌo vo ḳhvāb meñ bhī hai ḳhvāb jaisā

    usī se she'r-o-suḳhan haiñ mere usī se taḳhlīq merī saarī

    vo aks-e-rū hai mirī ġhazal mire tasavvur ke baab jaisā

    sharab jaisi hain us ki aankhen hai us ka chehra kitab jaisa

    bahaar us ki hasin tabassum wo ek shagufta gulab jaisa

    wo zauq-e-pinhan wo sab se wahid wo ek 'izzat-maab jaisa

    wo rang-e-mahfil wo nau-bahaaran wo naKH-ba-naKH hai nawab jaisa

    udas dil ki hai sarKHushi wo hai zindagi ke sawab jaisa

    wo meri banjar si dil-zamin par barasta hai kuchh sahab jaisa

    kabhi lage mahtab mujh ko kabhi lage aaftab jaisa

    haqiqaton ki to baat chhoDo wo KHwab mein bhi hai KHwab jaisa

    usi se she'r-o-suKHan hain mere usi se taKHliq meri sari

    wo aks-e-ru hai meri ghazal ka mere tasawwur ke bab jaisa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now