shikwa-e-dard-e-jigar ai mehrban kyun kar karen
shikva-e-dard-e-jigar ai mehrbāñ kyuuñ kar kareñ
aap sun kyuuñ kar sakeñ aur ham bayāñ kyuuñ kar kareñ
apnī biitī phir sunā.eñge kabhī ai mehrbāñ
shab kī shab meñ ḳhatm saarī dāstāñ kyuuñ kar kareñ
saikḌoñ hī fitna-e-ḳhvābīda jaag uTTheñge phir
niiñd se chauñkā ke un ko sargirāñ kyuuñ kar kareñ
phir gayā talvār kā muñh tham ga.e bāzū-e-dost
kyuuñ ajal is kī talāfī saḳht-jāñ kyuuñ kar kareñ
aatī hai pichhle pahar bas dil dhaḌakne kī sadā
rāz-dārān-e-vafā āh-o-fuġhāñ kyuuñ kar kareñ
phāñdnā dīvār-e-jannat kā to āsāñ hai magar
aap ke dil meñ jagah ai mehrbāñ kyuuñ kar kareñ
inqilāb-e-dahr ne āñkhoñ ko andhā kar diyā
āḳhir ab nazzāra-e-fasl-e-ḳhizāñ kyuuñ kar kareñ
nā-tavānī kā burā ho aah kar sakte nahīñ
kyuuñ falak ab jazb-e-dil kā imtihāñ kyuuñ kar kareñ
is tilism-e-dahr meñ sar bhī uThā sakte nahīñ
kashmakash meñ sair-e-nairañg-e-jahāñ kyuuñ kar kareñ
sar paTakte haiñ abas naqsh-e-qadam par der se
ābla-pā justajū-e-kārvāñ kyuuñ kar kareñ
hosh meñ phir kaun thā jab dard kā sāġhar chalā
āḳhir-e-shab kī vo kaifiyyat bayāñ kyuuñ kar kareñ
haath phailāyā na jā.egā bharī mahfil meñ aaj
sabr kī daulat ko saaqī rā.egāñ kyuuñ kar kareñ
jhuum kar uThte haiñ lekin phir sambhal jaate haiñ mast
sāmnā saaqī kā hai gustāḳhiyāñ kyuuñ kar kareñ
phāḌe khātī hai hameñ ye malgajī poshāk meñ
jāma-e-tan kī batāo dhajjiyāñ kyuuñ kar kareñ
shikwa-e-dard-e-jigar ai mehrban kyun kar karen
aap sun kyun kar saken aur hum bayan kyun kar karen
apni biti phir sunaenge kabhi ai mehrban
shab ki shab mein KHatm sari dastan kyun kar karen
saikDon hi fitna-e-KHwabida jag uTThenge phir
nind se chaunka ke un ko sargiran kyun kar karen
phir gaya talwar ka munh tham gae bazu-e-dost
kyun ajal is ki talafi saKHt-jaan kyun kar karen
aati hai pichhle pahar bas dil dhaDakne ki sada
raaz-daran-e-wafa aah-o-fughan kyun kar karen
phandna diwar-e-jannat ka to aasan hai magar
aap ke dil mein jagah ai mehrban kyun kar karen
inqilab-e-dahr ne aankhon ko andha kar diya
aaKHir ab nazzara-e-fasl-e-KHizan kyun kar karen
na-tawani ka bura ho aah kar sakte nahin
kyun falak ab jazb-e-dil ka imtihan kyun kar karen
is tilism-e-dahr mein sar bhi uTha sakte nahin
kashmakash mein sair-e-nairang-e-jahan kyun kar karen
sar paTakte hain abas naqsh-e-qadam par der se
aabla-pa justaju-e-karwan kyun kar karen
hosh mein phir kaun tha jab dard ka saghar chala
aaKHir-e-shab ki wo kaifiyyat bayan kyun kar karen
hath phailaya na jaega bhari mahfil mein aaj
sabr ki daulat ko saqi raegan kyun kar karen
jhum kar uThte hain lekin phir sambhal jate hain mast
samna saqi ka hai gustaKHiyan kyun kar karen
phaDe khati hai hamein ye malgaji poshak mein
jama-e-tan ki batao dhajjiyan kyun kar karen
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 151)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.