sine mein dil-e-agah jo ho kuchh gham na karo nashad sahi
sine mein dil-e-agah jo ho kuchh gham na karo nashad sahi
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
siine meñ dil-e-āgāh jo ho kuchh ġham na karo nāshād sahī
bedār to hai mashġhūl to hai naġhma na sahī fariyād sahī
har-chand bagūla muztar hai ik josh to us ke andar hai
ik vajd to hai ik raqs to hai bechain sahī barbād sahī
vo ḳhush ki karūñgā zab.h use yā qaid-e-qafas meñ rakkhūñgā
maiñ ḳhush ki ye tālib to hai mirā sayyād sahī jallād sahī
sine mein dil-e-agah jo ho kuchh gham na karo nashad sahi
bedar to hai mashghul to hai naghma na sahi fariyaad sahi
har-chand bagula muztar hai ek josh to us ke andar hai
ek wajd to hai ek raqs to hai bechain sahi barbaad sahi
wo KHush ki karunga zabh use ya qaid-e-qafas mein rakkhunga
main KHush ki ye talib to hai mera sayyaad sahi jallad sahi
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 115)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.