soi hai kali dil ki usko bhi jaga jaana
soī hai kalī dil kī us ko bhī jagā jaanā
is raah se bhī ho kar ai bād-e-sabā jaanā
ham bhūlte jaate haiñ us chehra-e-zebā ko
ai ḳhvāb zarā us kī sūrat to dikhā jaanā
jab mausam-e-gul aa.e ai nik.hat-e-āvāra
aa kar dar-e-zindāñ kī zanjīr hilā jaanā
phir haath chhuḌātī hai mujh se mirī tanhā.ī
phir dil ke sañbhalne ke andāz batā jaanā
kis naaz se paalā hai ham ne ġham-e-hijrāñ ko
us ġham ko zarā aa kar siine se lagā jaanā
auroñ ke liye yuuñ to ik sang-e-garāñ ham haiñ
haañ tum jo kabhī chāho miTTī meñ milā jaanā
āñkhoñ se bhī ab dil kī rūdād nahīñ kahte
ab ham se koī sīkhe har bhed chhupā jaanā
apne hī ḳharābe meñ ham 'umr guzāreñge
jab tum ko mile fursat ye ghar bhī basā jaanā
soi hai kali dil ki us ko bhi jaga jaana
is rah se bhi ho kar ai baad-e-saba jaana
hum bhulte jate hain us chehra-e-zeba ko
ai KHwab zara us ki surat to dikha jaana
jab mausam-e-gul aae ai nikhat-e-awara
aa kar dar-e-zindan ki zanjir hila jaana
phir hath chhuDati hai mujh se meri tanhai
phir dil ke sanbhalne ke andaz bata jaana
kis naz se pala hai hum ne gham-e-hijran ko
us gham ko zara aa kar sine se laga jaana
auron ke liye yun to ek sang-e-garan hum hain
han tum jo kabhi chaho miTTi mein mila jaana
aankhon se bhi ab dil ki rudad nahin kahte
ab hum se koi sikhe har bhed chhupa jaana
apne hi KHarabe mein hum 'umr guzarenge
jab tum ko mile fursat ye ghar bhi basa jaana
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 63)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.