sukun-e-qalb ki daulat kahan duniya-e-fani mein
sukūn-e-qalb kī daulat kahāñ duniyā-e-fānī meñ
bas ik ġhaflat sī ho jaatī hai aur vo bhī javānī meñ
tirī pākīza sūrat kar rahī hai husn-e-zan paidā
magar āñkhoñ kī mastī Dāltī hai bad-gumānī meñ
habāb apnī ḳhudī se bas yahī kahtā huā guzrā
tamāsha thā havā ne ik girah de dī thī paanī meñ
kamar kā kyā huuñ 'āshiq khul ga.ī zulf-e-darāz un kī
kamar ḳhud paḌ ga.ī hai ik balā-e-āsmānī meñ
usī sūrat meñ dilkash ḳhūbī-e-alfāz hotī hai
ki husn-e-yār kā paidā kare jalva ma'ānī meñ
adā-e-shukr kar ke ehtirāz aulā hai ai 'akbar'
hazāroñ āfateñ shāmil haiñ un kī mehrbānī meñ
sukun-e-qalb ki daulat kahan duniya-e-fani mein
bas ek ghaflat si ho jati hai aur wo bhi jawani mein
teri pakiza surat kar rahi hai husn-e-zan paida
magar aankhon ki masti Dalti hai bad-gumani mein
habab apni KHudi se bas yahi kahta hua guzra
tamasha tha hawa ne ek girah de di thi pani mein
kamar ka kya hun 'ashiq khul gai zulf-e-daraaz un ki
kamar KHud paD gai hai ek bala-e-asmani mein
usi surat mein dilkash KHubi-e-alfaz hoti hai
ki husn-e-yar ka paida kare jalwa ma'ani mein
ada-e-shukr kar ke ehtiraaz aula hai ai 'akbar'
hazaron aafaten shamil hain un ki mehrbani mein
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 50)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.