sukut-e-shab sitaron se hawa jab baat karti hai
sukut-e-shab sitaron se hawa jab baat karti hai
Vishma Khan Vishma
MORE BYVishma Khan Vishma
sukūt-e-shab sitāroñ se havā jab baat kartī hai
tumhārī yaad kī ḳhushbū mire har sū bikhartī hai
vo ik laḌkā jo merī zaat kā mehvar hai muddat se
mire andar kī laḌkī bhī usī ke saath rahtī hai
kabhī dil meñ mohabbat ke hasīñ mausam nikharte haiñ
kabhī mujh se lipaT kar zindagī bhī raqs kartī hai
tire ḳhvāb aur ḳhayāloñ kī agar mahfil sajī ho to
kabhī gaa.e tire naġhme kabhī bantī sañvartī hai
mujhe merī mohabbat par bahut hī maan hai 'vishma'
usī ke naam se ab zindagī kī saañs chaltī hai
sukut-e-shab sitaron se hawa jab baat karti hai
tumhaari yaad ki KHushbu mere har su bikharti hai
wo ek laDka jo meri zat ka mehwar hai muddat se
mere andar ki laDki bhi usi ke sath rahti hai
kabhi dil mein mohabbat ke hasin mausam nikharte hain
kabhi mujh se lipaT kar zindagi bhi raqs karti hai
tere KHwab aur KHayalon ki agar mahfil saji ho to
kabhi gae tere naghme kabhi banti sanwarti hai
mujhe meri mohabbat par bahut hi man hai 'wishma'
usi ke nam se ab zindagi ki sans chalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.