sulagti dhup barasti ghaTa nahin aai
sulagtī dhuup barastī ghaTā nahīñ aa.ī
hamāre jism pe koī qabā nahīñ aa.ī
tumhāre saath bhī aa.ī na zindagī ham tak
tumhāre baa'd bhī ham tak qazā nahīñ aa.ī
du'ā ko haath uThā.e to kyā huā yaaro
vahī huā ki laboñ tak du'ā nahīñ aa.ī
vo raushnī huī kuchh bhī nazar nahīñ aayā
vo ġhalġhala uThā koī sadā nahīñ aa.ī
uThā bhī abr to ham par baras nahīñ paayā
havā chalī bhī to ham tak havā nahīñ aa.ī
thake hue the ziyāda to so ga.e aur kuchh
tumhārī yaad bhī had se sivā nahīñ aa.ī
sulagti dhup barasti ghaTa nahin aai
hamare jism pe koi qaba nahin aai
tumhaare sath bhi aai na zindagi hum tak
tumhaare ba'd bhi hum tak qaza nahin aai
du'a ko hath uThae to kya hua yaro
wahi hua ki labon tak du'a nahin aai
wo raushni hui kuchh bhi nazar nahin aaya
wo ghalghala uTha koi sada nahin aai
uTha bhi abr to hum par baras nahin paya
hawa chali bhi to hum tak hawa nahin aai
thake hue the ziyaada to so gae aur kuchh
tumhaari yaad bhi had se siwa nahin aai
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 96)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.