tabhi to bhiD be-shumar hai yahan
tabhī to bhiiḌ be-shumār hai yahāñ
burī ḳhabar kā intizār hai yahāñ
jahān saarā aspatāl kyoñ nahīñ
ki ajnabī bhī ġham-gusār hai yahāñ
na fasl muḳhtalif hai khet-khet kī
na meḌh par kaTīlā taar hai yahāñ
ye aa.ina ye TūTā-phūTā aa.ina
yahī to ek apnā yaar hai yahāñ
qatār is liye bhī TūTtī nahīñ
ḳhudā hī ik dukān-dār hai yahāñ
hazār baar imtihāñ meñ baiThiye
vahī savāl bār-bār hai yahāñ
tabhi to bhiD be-shumar hai yahan
buri KHabar ka intizar hai yahan
jahan sara aspatal kyon nahin
ki ajnabi bhi gham-gusar hai yahan
na fasl muKHtalif hai khet-khet ki
na meDh par kaTila tar hai yahan
ye aaina ye TuTa-phuTa aaina
yahi to ek apna yar hai yahan
qatar is liye bhi TuTti nahin
KHuda hi ek dukan-dar hai yahan
hazar bar imtihan mein baiThiye
wahi sawal bar-bar hai yahan
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 84)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.