takte hain kitne ghaur se ahl-e-zamin mujhe
takte hain kitne ghaur se ahl-e-zamin mujhe
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
takte haiñ kitne ġhaur se ahl-e-zamīñ mujhe
bhejā gayā hai vaqt se pahle kahīñ mujhe
aaya huuñ jab se dasht se vāpas palaT ke maiñ
hasrat se dekhte haiñ yahāñ sab makīñ mujhe
ab ḳhushbuoñ kā mujh ko safar raas hī nahīñ
dikhlā.īyo na koī bhī ḳhvāb-e-hasīñ mujhe
ik ḳhvāb kā ḳhumār kabhī TūTtā nahīñ
ik lamha-e-nashāt mayassar nahīñ mujhe
mujh se koī jahāñ bhī milā yaad hai mujhe
rahte haiñ naqsh yaad sabhī avvalīñ mujhe
le jā sabhī charāġh bhī apne sameT kar
ab raushnī kī koī zarūrat nahīñ mujhe
'jāmī' maiñ apnī jaan ba-sad-shauq vaar duuñ
har chiiz se aziiz hai ye sarzamīñ mujhe
takte hain kitne ghaur se ahl-e-zamin mujhe
bheja gaya hai waqt se pahle kahin mujhe
aaya hun jab se dasht se wapas palaT ke main
hasrat se dekhte hain yahan sab makin mujhe
ab KHushbuon ka mujh ko safar ras hi nahin
dikhlaiyo na koi bhi KHwab-e-hasin mujhe
ek KHwab ka KHumar kabhi TuTta nahin
ek lamha-e-nashat mayassar nahin mujhe
mujh se koi jahan bhi mila yaad hai mujhe
rahte hain naqsh yaad sabhi awwalin mujhe
le ja sabhi charagh bhi apne sameT kar
ab raushni ki koi zarurat nahin mujhe
'jami' main apni jaan ba-sad-shauq war dun
har chiz se aziz hai ye sarzamin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.