talab ho sabr ki aur dil mein aarzu aae
talab ho sabr kī aur dil meñ aarzū aa.e
ġhazab hai dost kī ḳhvāhish ho aur 'adū aa.e
tum apnā rang badalte raho falak kī tarah
kisī kī aañkh meñ ashk aa.e yā lahū aa.e
tirī judā.ī se hai ruuh par ye zulm-e-havās
maiñ apne aap meñ phir kyoñ rahūñ jo tū aa.e
riyā kā rang na ho mustanad haiñ vo ā’māl
kalām puḳhta hai jab dard-e-dil kī bū aa.e
laboñ kā bosa jise mil gayā ho vo jaane
qadam to us but-e-be-dīñ ke ham bhī chhū aa.e
khulī jo aañkh javānī meñ 'ishq aa pahuñchā
jo garmiyoñ meñ khuleñ dar to kyoñ na lū aa.e
vo mai nasīb kahāñ in havas-parastoñ ko
ki ho qadam ko na laġhzish na muñh se bū aa.e
talab ho sabr ki aur dil mein aarzu aae
ghazab hai dost ki KHwahish ho aur 'adu aae
tum apna rang badalte raho falak ki tarah
kisi ki aankh mein ashk aae ya lahu aae
teri judai se hai ruh par ye zulm-e-hawas
main apne aap mein phir kyon rahun jo tu aae
riya ka rang na ho mustanad hain wo aa’mal
kalam puKHta hai jab dard-e-dil ki bu aae
labon ka bosa jise mil gaya ho wo jaane
qadam to us but-e-be-din ke hum bhi chhu aae
khuli jo aankh jawani mein 'ishq aa pahuncha
jo garmiyon mein khulen dar to kyon na lu aae
wo mai nasib kahan in hawas-paraston ko
ki ho qadam ko na laghzish na munh se bu aae
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 61)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.