talwar se kaTa hai phulon-bhari Dalon ko
talvār se kaaTā hai phūloñ-bharī Dāloñ ko
duniyā ne nahīñ chāhā ham chāhne vāloñ ko
maiñ aag thā phūloñ meñ tabdīl huā kaise
bachchoñ kī tarah chūmā us ne mire gāloñ ko
aḳhlāq vafā chāhat sab qīmtī kapḌe haiñ
har roz na oḌhā kar in reshmī shāloñ ko
barsāt kā mausam to lahrāne kā mausam hai
uḌne do havāoñ meñ bikhre hue bāloñ ko
chiḌiyoñ ke liye chāval paudoñ ke liye paanī
thoḌī sī mohabbat de ham chāhne vāloñ ko
ab raakh baToreñge alfāz ke saudāgar
maiñ aag pe rakh dūñgā nāyāb risāloñ ko
maulā mujhe paanī de maiñ ne nahīñ māñgā thā
chāñdī kī surāhī ko sone ke piyāloñ ko
talwar se kaTa hai phulon-bhari Dalon ko
duniya ne nahin chaha hum chahne walon ko
main aag tha phulon mein tabdil hua kaise
bachchon ki tarah chuma us ne mere galon ko
aKHlaq wafa chahat sab qimti kapDe hain
har roz na oDha kar in reshmi shaalon ko
barsat ka mausam to lahrane ka mausam hai
uDne do hawaon mein bikhre hue baalon ko
chiDiyon ke liye chawal paudon ke liye pani
thoDi si mohabbat de hum chahne walon ko
ab rakh baTorenge alfaz ke saudagar
main aag pe rakh dunga nayab risalon ko
maula mujhe pani de main ne nahin manga tha
chandi ki surahi ko sone ke piyalon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.