Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

adu ki un ke kuche mein marammat hone wali hai

Boom Merathi

adu ki un ke kuche mein marammat hone wali hai

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    adū un ke kūche meñ marammat hone vaalī hai

    kisī aaj be-paisa hajāmat hone vaalī hai

    sunā hai vo barahna ho ke aate haiñ sar-e-mahshar

    qayāmat meñ bhī ik barpā qayāmat hone vaalī hai

    duā.eñ māñgtā huuñ is liye baavā ke marne

    ki jo daulat hai un mā-badaulat hone vaalī hai

    maza to jab hai apne saath vo mujh ko kabhī le jaa.e

    adū ke ghar par us saale dāvat hone vaalī hai

    jo ham pādeñ kabhī to be-hayā ham ko batāte haiñ

    jo ḳhud pādeñ to kahte haiñ ki sehat hone vaalī hai

    shab-e-va.ada abhī kyā hai abhī to peT phūlegā

    abhī ik aur bhī barpā qayāmat hone vaalī hai

    are ai 'būm' kyoñ ghabrā rahā hai kuchh ḳhabar bhī hai

    ki munnā laal sāhab ināyat hone vaalī hai

    adu ki un ke kuche mein marammat hone wali hai

    kisi ki aaj be-paisa hajamat hone wali hai

    suna hai wo barahna ho ke aate hain sar-e-mahshar

    qayamat mein bhi ek barpa qayamat hone wali hai

    duaen mangta hun is liye bawa ke marne ki

    ki jo daulat hai un ki ma-badaulat hone wali hai

    maza to jab hai apne sath wo mujh ko kabhi le jae

    adu ke ghar par us sale ki dawat hone wali hai

    jo hum paden kabhi to be-haya hum ko batate hain

    jo KHud paden to kahte hain ki sehat hone wali hai

    shab-e-wada abhi kya hai abhi to peT phulega

    abhi ek aur bhi barpa qayamat hone wali hai

    are ai 'bum' kyon ghabra raha hai kuchh KHabar bhi hai

    ki munna lal sahab ki inayat hone wali hai

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Boom (Pg. 52)

      • Publisher: Jawahar Book Depot, Meerut
      • Year of Publication: 1980

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now